AAPKA MERE IS BLOG MEIN SWAGAT HAIN

MERI KAVITAON KA LUTHF UTHAYEIN

Monday, June 14, 2010

JUNGLE MEIN CHUNAV



JUNGLE MEIN JANVARO KI BETHAK, BOLE SHER KE BAD GAYE BHAV
CITY KI TARAH MAHODAY, AB JUNGLE EIN BHI HOGA CHUNAV

KINTU KHADI SAMASYA BADI, KI SHER KE KHILAF KON PRATYASHI
NIRNAY LIYA MIL KE SABNE,KI LOMRI HAI CHATUR CHALAK SAHASI

PHIR KYA HONA THA MAHASHAY JI, CHUNAV KA MAHOL GAYA BAN
VIDWAN ULLU KE NETRATV MEIN ELECTION COMISION HUA GATHAN

JUNGLE MEIN LAGU HO GAYI CHUNAV KI KADI AACHAR SANHITA
LOMRI KA SATHI KHARGOSH BANA SHER KA BAN GAYA CHEETA

DONO PRATYASHI KO AAVANTITH KIYE GAYE CHUNAV NISHAAN
JHOOTHE ASHWASHAN DEKAR PRATYASHI BADA RAHE APNI SHAAN

JUNGLE MEIN BATNE LAG GAYE AB TO DEKHIYE SAREE OR NOTE
LOMRI BOLI MAHILA SHASHAKTIKARAN HETU DE MUJHE VOTE

GEEDAR MAT BHAG TOWN, JUNGLE MEIN HI HOGA TERA DERA
ULLU KO MILA ASHWAASAN AB DIN MEIN BHI HOGA ANDHERA

HATHI BANDAR JI JUNGLE MEIN JITNE MARJI KELE AAP CHAKHNA
MAGAR LANGUR JI HAMARA CHUNAV NISHAN DHYAN RAKHNA

JAB SHER SABKO DE RAHA THA VADE , SHERNI NE ADA DI TANG
KAHA HUSBAND RAJA BHUK LAGI HAI LADO MUJHKOHIRAN KI TANG

SHER BOLA SHERNI SE SUNO BEGAM ITNI HAI MERI APSE FARIYAAD
ARE JITNE MARJI HIRAN KHA LENA MAGAR SIRF CHUNAV KE BAAD

KAHE 'MARWARI' YE NETA BHI HAME JHOTE VADE DE JATE HAI
OR JITNE KE BAAD HAME YUN HI KACCHA CHABATE HAI




1 comment:

  1. माडवारी जी।
    आपकी कविताएं पढ़कर अच्छा लगा।
    प्रेरक......मनभावन .....इसी प्रकार
    लिखते रहो।
    सद्भावी - डॉ० डंडा लखनवी

    ReplyDelete